Sun’nat-e-Nabwi (SAW) aur jadeed science
Aksar jootay pehnay rehnay ki talqeen:
Sun’nat-e-Nabwi (SAW) aur jadeed science:
(Advice of often wearing shoes- Sunnah and modern science)
Nabi pak (SAW) nay irshaad farmaya, “Aksar jootay pehnay raha karo. Jootay pehan’nay wala bhi aik tarah ka sawaar hota hai.” (Maamoolaat-e-Nabwi (SAW) Aadab-e-zindagi)
Jootay pehnay rehnay say aadmi kaantoon say mehfooz rehta hai, zameen ki na-hamwariyoon aur kachray (yani sheesha aur is qisam ki doosri cheezain) say hifazat rehti hai. Paoon gard-o-ghubaar say bhi mehfooz rehtay hain. Jootay pehan’nay say insaan ba-waqaar nazar aata hai.
Jota aur amraaz: (Shoes and Diseases):
“Mairay paas sugar kay jitnay bhi mareez aatay hain ya aisay mareez jin ko hemophilia hota hai ya aisay mareez jo skin allergy main mubtala hotay hain in tamaam ko mairi sab say pehli hadayat hoti hai kay ghar kay andar aur bahir jootay kay saath raho kiun kay gard-o-ghubaar main bohut tarah kay germs hotay hain, in main say koi bhi germ zakhmoon main chala gaya to zakhm septic ho jaiy ga. Agar nangay paoon chalay to koi kharaash ya keel kanta lag sagta hai jis ka lagna sugar ya hemophilia kay patient kay liyay bohut nuqsan-deh hai. So, jota paoon ki sehat aur salamti kay liyay bohut zaroori hai.” (Human and Health)
“Moujooda daur main jab har taraf chemical ka use aam hai aur fizai aloodgi ki wajah say aik aam zameen bhi chemical say alooda hai, in chemicals kay nuqsanaat say bachnay kay liyay bohut lazim hai kay hum apnay paoon ko in chemicals say bachain aur hamaisha jota istemaal karain ta kay jisam main paoon ki skin kay zariyay chemicals absorb na hoon.” (Earth Chemicals – Mahnama Zindagi)

Comments
I remember my mom telling me on these lines that hazur saww has asked to always wear shoes while walking and never walk bare feet. Worms can go inside.
And I always had the idea that if I'll walk bare feet I'll have all those huge worms in my tummy going inside direct from my feet :)
What a lovely memory .. and what a lovely narration.
<3