Sun’nat-e-Nabwi (SAW) aur jadeed science
Aksar jootay pehnay rehnay ki talqeen: Sun’nat-e-Nabwi (SAW) aur jadeed science: (Advice of often wearing shoes- Sunnah and modern science) Nabi pak (SAW) nay irshaad farmaya, “Aksar jootay pehnay raha karo. Jootay pehan’nay wala bhi aik tarah ka sawaar hota hai.” (Maamoolaat-e-Nabwi (SAW) Aadab-e-zindagi) Jootay pehnay rehnay say aadmi kaantoon say mehfooz rehta hai, zameen ki na-hamwariyoon aur kachray (yani sheesha aur is qisam ki doosri cheezain) say hifazat rehti hai. Paoon gard-o-ghubaar say bhi mehfooz rehtay hain. Jootay pehan’nay say insaan ba-waqaar nazar aata hai. Jota aur amraaz: (Shoes and Diseases): “Mairay paas sugar kay jitnay bhi mareez aatay hain ya aisay mareez jin ko hemophilia hota hai ya aisay mareez jo skin allergy main mubtala hotay hain in tamaam ko mairi sab say pehli hadayat hoti hai kay ghar kay andar aur bahir jootay kay saath raho kiun kay gard-o-ghubaar main bohut tarah kay germs hotay hain, in main say koi bhi germ zakhmoon main chala gaya to zakhm sept...